Sunday, October 16, 2011

untitled

aay ehsaas ,shama-e-dil main dob ja,
Bay misaal, bay-intiha, bay-sabab, bay-wajah,
Mjhay bay rukhee say jawab mila, meray dard ko ikk jahan mila.............
Khamosh nigahon main chupay sawaal,chup zuban pay rukay jawaab,
Jab waqt uth, toofan thama,naan main rha,naan tou mila.......
Socha jo kabhee likha buhat,chahat main azaab saha buhat,
Yun shahr-e-muhabbat main dhondta rha,naan amaan milee naan khuda mila.......
Andaaz buhat, teray waswason main pausheeda raaz buhat,
Hosh hoa tou sajday main gia,Par naan khana-e-but say koe jawa mil........
Is dil kay kia kahnay, ab dharakta hai tou poch kar,yunhee,
Sab kuch tou tum nain gawa dia, iis dasht-e-sahra main tmhain kia mila........
Naan ik bond serab hoa, naan ikk lamha qaraar hoa,
Jaisay marqad kay daaman main siyah raat,naan hisaab hoa,naan azaab mila......

Hiramalik

No comments:

Post a Comment