Sunday, October 16, 2011

dhuaan

ajab khushboo fiza main hai
Aaj zameen kee sarhadon kay paar
Jaisay jaltee bujhtee muhabbat kee akharii shaam
Soor phonkhay khud apnii baytaabii ka tamasha dekhay...
Aur chamaktee aankhain rasta kho jain,
Kisee ajnabii dais main bhataktay musafir kee tarah...

Sahra say piyaas ka kia pochna,
Jo ishq main doba ho aur yay chubhan kisse bholay hoay khawab kee maanind,
Kissi gumnaam parinday kee tarah,
Sochay bghair safar kartee jay,
Apnay wajood ko azal say abad kartee jay....
Kia kabhee bay jaan jism bhe bola kartay hain?
Kia sunee hai tum nain marqid kay hujray say koe totii hoe awaaz?
har shaam musafat tay karta hon main,
Aur har shaam iskee shaama,rakh kar daitii hai yay dahakta dhuaan....

Hiramalik

No comments:

Post a Comment