Sunday, October 16, 2011

shanasaee

sabhee yaad kartay hain
Uskay khayal main guzaree har shaam,
Aur mjhay
Apnee hee nazron say
Wo chahra chupana mahaal lagta hai,
Jaisay ikk taveel musaafat kay baad,
Piyaas ruh ka sahra ban jay,
Or qainaat sirf ikk qalmay ka andaaz ban jay...

Khaak aur qadam,
Aaj b jab safar kee thakka-an kee gard ko sajda kartee hn,
Tou ikk awaaz meray jism-o-ruh ko jakarr kaitee hai,
Aur muhabbat phir lahoo main gardash kartee hai,
aur zindagii apnay wajood pay fakhar kartee hai...

Shuula' ban-na aur ban kay mitt jana,
buhat farq hai meray dost ,
Ishqq main parwaaz say guzar jana,
Aur muhabbat main intiha pay nazar aana...
Aasman kee wussat naan paa sakee,
Naan hee samandar kee gahrae is raaz-e-dil ko,
jismain tum ko yaad rakhna aur khud ko bhol jana...

Hiramalik

No comments:

Post a Comment