Sunday, October 2, 2011

puraani baatain , bay- hisaab yaadain


aur kab raat kay saa'y gahray hogay
pta hee nhn chala,
jaisay qurbutoon main faaslay hon,
an- ginat rakh kay zarron main chupay bhaid jaisay..
saham jana, har bat pay, kay abii tou wo toofan thama hai
aur meray ghar kay aangan main abii b wo tootee shaakhain bikhri paree hain..
ehsaas tha aik bass
aik phol jaisa,
khauf tha bass,
ik awaara abar jaisa
jo  bichar gia...
aay mausam aaj jab un hijar kee hijratoon ko yaad kartee hn
tou wo hanstee muskuraate shaam
waqt kay un chupay andhairon say nikal kar
meray saamnay kharee ho jati hai
wohee sawal, wohee hisaab liay
jo kab kay bujhee rakh main chupa diay main nain, aik qafan kee tarah!!

hiramalik

No comments:

Post a Comment