Monday, January 3, 2011

pyambar-e-karwaan!!

is raat ka sahar itna kuen hai
kay aaj jab subah ko dekha
tou wo raat nazar aae
siyaah raat...
aay meray ham dam,
meree saans kee dorain bandh day
us lamhay kay qafas main,
kay aaj laho kee qeemat bhe chukaani hai mjhay....
kya hisaab kya khayal,
jaisay ujalay kay baad ke tanhai,
jaisay shaam kay baad yay siyah raat,
aisay hee bichay hain qadmon talay meray
wo unmitay nishaan...
aay pyambar-e-karwaan
mera pyaam itna hai bass,
kay us dais main bujhee rakh mere
wo jaltay shoolon ka anjaam,
ja kar zara dekhna
aur kahna us fiza say,
aaj bhe mjhay khayal hai us raat ka
kay us kay sahar main bujhee hai mere har subah, har shaam!!

hiramalik
(copyrights reserved)

No comments:

Post a Comment